Ye baat samaj mein aayi nahi,
aur mummy ne samjhayi nahi.
Main kaise meethi baat karun?
Jab meethi cheez koi khayi nahi.
Ye chaand kaise Mamu hai?
Jab mummy ka wo bhai nahi.
Kyon lambe baal hai bhalu ke?
Kyun usney trimming karwaee nahi..
Kya wo bhi ganda baccha hai?
Ya jangal mein koi naayi nahi.
Nani ke pati jab Nana hai,
Dadi ke pati jab Dada hai.
Didi ke pati kyun Dida nahi?
Samundar ka rang kyun neela hai?
Jab neel kisi ne milayi nahi.
Jab School mein itni neend aati hai,
To kyun bed wahan rakhwaee nahi.
Ye baat samaj mein aayi nahi,
aur mummy ne samjhayi nahi.